Discuss & Debate | Share | Learn

www.ask.or.tz

Our Partners
Relationships are a complex and sensitive emotional, social, and religious area. This forum is open for you to post your problems. You can post in this forum as a Guest, without logging in, if you dont want others to know who you are. Or you can pm 'hasin' the administrator, with the problem. If need be, a relevant scholar will be contacted (without him being given any names) so that we can get correct guidance.
User avatar
By abuali
#11386
Jab Tu Peda Howa Kitna Majbour Tha
Yeh Jahan Teri Socho`n Se Bhi Door Tha

Hath Paon Bhi Tab Tere Apne Na Thay
Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapne Na Thay

Tujh Ko Ata Tha Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pe Ke Kaam Tera Sona Hi Tha

Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri

Maa Ke Saye Main Parwan Chalne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Barhne Laga

Aahista Aahista Tu Kariyal Jawan Ho Giya
Tujh Pe Sara Jahan Mehrban Ho Giya

Zor-e-Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
Khud Hi Sajne Laga Khood Hi Sanwarne Laga

Aik Din Ik Haseena Tujhe Bha Gayi
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayi

Farz Apne Se Tu Door Hone Laga
Beej Nafrat Ka Khood Hi Tu Bone Laga

Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulane Laga
Teer Bato Ke Phir Tu Chalane Laga

Baat Be Baat Unn Se Tu Ladne Laga
Qayda Ik Naya Tu Phir Padne Laga

Yaad Kar Tujh Se Maan Ne Kaha Ik Din
Abb Humara Guzara Nahi Tere Bin

Sunn Ke Yeh Baat Tu Tesh Main Aa Gaya
Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya

Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha
Main Tha Khamosh Sub Dekhta Hi Raha

Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tor Do

Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro

Beth Kar Aahain Bharte The Woh Raat Bhar
Inki Aahon Ka Tujh Par Howa Na Asar

Aik Din Baap Tera Chala Rooth Kar
Kese Bikhri Thi Phir Teri Maan Toot Kar

Phir Woh Be Bass Ajal Ko Bhulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi

Aik Din Mout Ko Bhi Taras Agiya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Giya

Ashk Ankhon Main Liye Woh Rawana Howi
Mout Ki Aik Hichki Bahana Howi

Ik Sukoon Is Ke Chehre Pe Chane Laga
Phir Tu Mayyat Ko Iski Sajane Laga

Muddatain Ho Gayi Aaj Boorha Hai Tu
Jo Para Touti Khatiya Pe Koora Hai Tu

Tere Bache Bhi Abb Tujh Se Darte Nahi
Nafratein Hain Muhabbat Woh Karte Nahi

Dard Main Tu Pukare Ke O MERI MAA
TERE DAM SE ROSHAN THE DONO JAHAN

Waqt Chalta Rahe Waqt Rukta Nahi
Tout Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi

Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishan Reh Giya
Dhondh Zor Tera Kahan Reh Giya

Tu EHKAM-E-RABBI Bhulata Raha
APNE MAA BAAP KO TU SATATA RAHA

Kaat Le Tu Wohi Tu Ne Boya Tha Jo
Tujh Ko Kese Mile Tu Ne Khoya Tha Jo

Yaad Kar Ke Gaya Dor Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Hone Laga

Mout Mange Tujhe Mout Aati Nahi
Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi

Tu Jo Khansay Tu Aulad Dante Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kon Bante Tujhe

Mout Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par

QADAR MAA BAAP KI AGAR KOI JAAN LE
APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE

Aur Leta Rahe Woh Baro`n Ki Dua
Is Ke Dono Jahan, Iska Ka Haami KHUDA
Pray for your Parents after namaz e maghrib.
By smma59
#11887
Salamalykum,
Thanks hasin for beautiful poem. I add one also.
Maut ki aagosh mein jab thak key soo jattiii hain maa

tab kahii jaakar sukoon thora sa paa jaati hain maaaa

fikar mein bachoo ki kuch istarah ghul jaati hain maa

nau jawan hotey howey bhorii nazar aati hain maaa

for video of both visit
http://alqaem.org/maa.html
ws
Ramadhan Daily Duas- # 17

Dua for Day 17 | Holy Month of Ramadhan O Allah, […]

https://youtu.be/hk2bRbbavCY?si=6Y53rBBj5rHfPNmw

Ramadan Daily Duas - # 16

*Dua for Day 16 | Holy Month of Ramadhan* O Allah[…]

Ramadan Daily Duas - # 15

Dua for Day 15 | Holy Month of Ramadhan O Allah G[…]

Ask4help Counseling Helpline