Discuss & Debate | Share | Learn

www.ask.or.tz

Our Partners
Dedicated to the Imams and Ahl-al-bayt (AS), describing their sufferings and hardships. Oh Hussain(AS), my oppressed Imam, may the curse of Allah be on the oppressors.
User avatar
By Tanveer
#2201
Ya fatema, umme abi ha, bint-e-payambar, khayrun-nisaa, ya zehra, ya zehra

Tu hai siddiqa, tu tahira aur tuhi shafi-e-rawze jazaa, ay meri bibi, waqt-e-madad hai, har matami ke dil ke sadaa hai

(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai

Dast-e-dua ko jab bhi uthaaya, manga hai teri chadar ka saya, (ya zehra) x2 Waqt-e-musibat mei har hussaini bas naam tera, honto pe laaya, ay meri bibi, tang dasht hu mei, ye kehke daman pheylaadiya hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai

Wo bibi jiski hai ghaud khali, chawkhat pe teri hai wo sawaali (ya zehra) x2 Mujhko bhi dede asghar ka sadqa mene tere dar se lo lagali, ay meri bibi, jin godiyo mei, awlaad hai wo teri ata hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai

Jo maaye behne be aasra ho farsh-e-aza par mehwe bukaa ho (ya zehra) x2 Tu unke pardo ki laaj rakhiyo jo teri zainab ki zakira ho, ay meri bibi, zinda rahe wo, bhaayi jo behno ka asra hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai

Jo tifl rokar parte hai nawha, har aathwi ko bante hai saqqa (ya zehra) x2 Har roshni ki hai ye zamaanat, mei har charaagh-e-bazm-e-aza, ay meri bibi, bujhne na paya, awn-o-muhammad ka wasta hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai

Jo apne beto ka bhool kar gham, karti ho tere, akbar ka matam (ya zehra) x2 un maao ko tu, de sabr bibi wo phir na dekhe awlaad ka gham, ay meri bibi, us maa ko koi gham na ho jisko ye gham mila hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai

Hai yaad abtak purdard-e-manzar pyaase ki gardan, zalim ka khanjar (ya zehra) x2 hum tere pyaase bete ka sadqa yu(n) mangte hai farsh-e-aza par, ay meri bibi, abad rakhna wo ghar ke jisme farsh-e-aza hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai

Shabbir ki wo mazloom dukhtar, zindaan se jo, na jaa saki ghar (ya zehra) x2 Sadqe mei uske, ham par karam kar, bejurm-e-qaydi kehte hai rokar, ay meri bibi, ab ye aseeri ho khatm abid ka wasta hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai

"Irfan-o-Mazhar" ye chahate hai, miljaaye hamko bas ye sa'adaat (ya zehra) x2 Jo akhri hai hujjat khuda ki, hojaaye hamko uski ziyaraat, ay meri bibi, ye baat wo hai, jo har hussaini ki iltejaa hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai

Aap ke darbar mei, kar qubool uftad

Short tafsir on Suratul Faatir (The Originator ) -[…]

Hadith of the day

Imam Sadiq (A.S.)‏ اطْلُبُوا الْعِلْمَ وَ تَز[…]

Today marks the birth anniversary of Imam Hasan al[…]

Hadith of the day

Hazrat Muhammad Mustafa [s] said There are two vi[…]

Ask4help Counseling Helpline