Discuss & Debate | Share | Learn

www.ask.or.tz

Our Partners
Dedicated to the Imams and Ahl-al-bayt (AS), describing their sufferings and hardships. Oh Hussain(AS), my oppressed Imam, may the curse of Allah be on the oppressors.
User avatar
By Tanveer
#2062
Ya hussain maula mere

(Ya Hussain Mawla Mere) x16

(Farshe maatam pe tere, Ashk aankhonse gire
Zakhm Zehra ke liye, ashk marham wo bane) x2

(Koi mausam bhi rahe, har sadaa roe tujhe) x2


(Ya Hussain Mawla Mere) x2

(Ya Hussain Mawla Mere) x12

(Tu namaazo ki baqaa, tu azaano ki sadaa,
Tere sajde ki qasam, khud bhi khaata hai khuda) x2

(Tu hai sardaare jinaa, ham azaadar tere) x2


(Ya Hussain Mawla Mere) x2

(Ya Hussain Mawla Mere) x12

(Jur’ato Azme Ali, Teri rag rag me basi
Daulate Sabr hame, tere hi ghar se mili) x2

(Tere ghazi ke alam, Aaj ghar ghar hai saje) x2


(Ya Hussain Mawla Mere) x2

(Ya Hussain Mawla Mere) x12

(Tune sajda jo kiya barsare karbobala,
Laae jibreel-e-Ameen bas ye paighaame khuda) x2

(Ay Hussain ibne Ali, Khush kiya tune mujhe) x2


(Ya Hussain Mawla Mere) x2

(Ya Hussain Mawla Mere) x12

(Barsare nawke sina, zikre haq teri zabaan
Bola qurane mubeen, aisa qaari hai kahaan) x2

(Apne Khaaliq ki sanaa, zere khanjar jo kare) x2


(Ya Hussain Mawla Mere) x2

(Ya Hussain Mawla Mere) x12

(Wo teri tashna labi, Haae farzande Ali
Haath malti thi bahan, tegh garden pe chali) x2

(Issi afsos me ab, Alqama roti rahe) x2


(Ya Hussain Mawla Mere) x2

(Ya Hussain Mawla Mere) x12

(Tere bachonpe rahi, teen din tashna labi
Bhul sakte hi nahi, teri mazloomi kabhi) x2

(Ashk gir gir ke kahe, farshe majlis pe mere) x2


(Ya Hussain Mawla Mere) x2

(Ya Hussain Mawla Mere) x12

(Zikr se tere huwa, mei to "rehaane" azaa
Tere ghazi ka karam, teri maadar ki ataa) x2

(Kyun na har roz rahe, har ghari saath mere) x2


(Ya Hussain Mawla Mere) x2

(Ya Hussain Mawla Mere) x12
[KSIJDar]

https://cdn4.cdn-telegram.org/file/GmwOqEIhHdKrt9[…]

🙏🏻"O God, make death Ma'nas and Ma'laf for us[…]

[KSIJDar]

https://cdn4.cdn-telegram.org/file/qfz96kWDEnDGEO[…]

Ask4help Counseling Helpline