Discuss & Debate | Share | Learn

www.ask.or.tz

Our Partners
Dedicated to the Imams and Ahl-al-bayt (AS), describing their sufferings and hardships. Oh Hussain(AS), my oppressed Imam, may the curse of Allah be on the oppressors.
User avatar
By Tanveer
#1994
Ay Khuda Ay Khuda hai yehi aarzoo *2
Mai Imaam-e-Zamaan kaa sipaahi banuu
Ay Khuda Ay Khuda...

Saare ansaar qurbaan ho baad mein, sabse pehle fidaa apni jaan mein karuun
Ay Khuda...

Misle Meesam jalaa ke charaaghe wafaa, kardu apne lahuu se ayaaghe wafaa,
Kaafelaa hurriyat kaa na bhatke kabhi, misle Hur chodjaaun suraaghe wafaa
Ay Khuda...

Mere aakaa ki jaanib jo uthi nazar, cheen lungaa un aankhon se norre bashar,
KAatdungaa har us aadmi ki zabaan, bar gayaa koi had de adab se aghar,
Ay Khuda...

Jab alam le ke maqtal ki jaanib barhu, yun rujuz shaane mawla Ali mein parhu,
Gham nahiin hai ke haa koi ek jurm mein, qatl karde zamaanaa ke faasi charhu,
Ay Khuda...

Taa baa anjaame ghaibat jo mai naa rahuu, Ay khudaa haq ke nusrat adaa yun karu,
Jab Imaam apne lashkar ko tarteeb de, mein bhi turbat se labbaik kehta uthuu,
Ay Khuda...

Daagh hai dil pe Zahra ke jaageer kaa, Gham hai aale Muhammad ki tash heer kaa
Kamse kam itni mohlat khudaa bakshde, badlaa mein le saku khoon Shabbir kaa,
Ay Khuda...

Mein Imaam-e-Zamaan kaa sipaahi banuu,
Ay Khuda...
User avatar
By Sayyeda
#11460
Can you post the audio link?
User avatar
By abuali
#11485
Shukran

Let us know if you get the audio link or by whom it is recited.

I got a slightly different version

Ay Khuda ! Ay Khuda ! Ay Khuda !

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa as.gif ka Sipahi Banoo

Misle Maisam jala kay chiragh-e-wafa
Bhardoon apnay lahoo sey ayad-e-wafa*

Qafila Zuriyat ka Na bhatkay kabhi
Misle Hurr choor jaoon chiragh-e-wafa

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo

Mairay Aqa Ki Janib jo uthee nazar
Cheen loonga un ankhoon sey noor-e-basar
Kaat doonga uss aadmi ki zabaan
barh gaya koi had-e-adab sey agar

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo

Kash jab mein hoon masroof-e-Kaar-e-Ghira*
Maujiza aisa dikhlaye maira Khuda
Dekh kar mujhko alooda-e-Khaak-o-khoon
Khud Imam-e-Zamaan(as) Keh uthein Marhaba

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo

Jab Alam lay kay maqtal ki janib barhoon
Yeh rujuz shaan-e-Mola Ali mein parhoon*
Ghum Nahi hay kay haq goi kay jurm mein
Qatl karday zamana kay phaasi charhoon

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo

Ta ba Anjaam-e-Ghaybat jo mein na rahoon
Ayy Khuda Haq-e-Nusrat ada Yu Karoon
Jab Imam apnay lashkar ko tarteeb dein
Mein bhi Turbat sey labaik kehta uthoon

Daagh Hay Dil Pay Zahra ki Jageer ka
Ghum Hay Aale Muhammad ki Tash-heer ka
Kam sey Kam itni Mohlat Khuda Bakhsh Dey
Badla Mein Lay Sakoon Khoon-e-Shabbir Ka

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo[/QUOTE]

Karbala Mein ajab zulm dhaye gaye
Loota Hay sheh ko khaimay jalaye gaye
Mujrimo ki tarhaa dar ba dar nangay sir
AhleBayt-e-Muhammad Phirayee gayee

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo

Ashqiya zulm per zulm dhatay rahay
Bay sabab taziyaanay lagatay rahay
Khoon rotay rahay Ahlebayt-e-Nabi
Log Jashn-e-Musarrat manatay rahay

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo

Baandh kar aik rassi mein bara galay
Soo-e-darbar-e-shaam ashqiya lay chalay
Koi aisa na tha jo yeh poochta
Khatm Kab hoongay yeh zulm kay silsilay

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa ka Sipahi Banoo

Karbala dey rahee hay musalsal sada
Muntazir janay kab sey hain ahle wila*
Jald hoo abb zahoor-e-Imam-e-Zamaan
Ayy Khuda Hay yehi aarzo-e-wafa

Ay Khuda Ay Khuda Hay Yehi Aarzoo
Mein Imam-e-Zamaa(as) ka Sipahi Banoo

https://youtu.be/-3CI0FBr5ss?si=UNYS9HXtS24Gbr-P

Ramadan Daily Duas - # 7

*Dua for Day 7 | Holy Month of Ramadhan* O ALLAH,[…]

Suratul Mulk (The Kingdom)

Short Tafsir on Suratul Mulk (The Kingdom) - Part […]

Ramadan Daily Duas - Day 6

*Dua for Day 6 | Holy Month of Ramadhan* O ALLAH,[…]

Ask4help Counseling Helpline