- 25 Feb 2005, 17:26
#1675
Sojaao Sakeenah *3
1. Hai dard judaai kaa magar dil ko sambhaalo,
Kya haal phuphi kaa he nazar unpe to daalo,
Achchaa nahiin istarha se din raat ye giryaa...
2. Aayenge pidar aur chacha jaan tumhaare,
Ho jaayenge kam zulm ke toofaan ye saare,
Guzri hai jo rudaade jafaa unko sunaanaa...
3.Tum yaad bahot karti ho Asghar ko meri jaan,
Le jaayenge paas unke tumhe Sayyad-e-Zishaan,
Mei sadqe use pyaar se tum ghod me rakhnaa...
4. Maa sadqe na aajaaye kahiin Shimr sitamghar,
Maare na tamaache tere rukhsaar pe aakar,
Sunle na kahiin Shimr Laeen teraa ye ronaa...
5. Aagosh me mamtaa ki sukoon hogaa mayassar,
Baabaa ke bajaaye mere sine pe rakho sar,
Mei lori sunaati hun suno ay meri dukhyaa...
6. Zindaan me israar thaa jis bachchi se sojaa,
Ek waqt anis aale Muhammad pe ye aayaa,
Sab peet ke sar kartethe is tarhaa se naalaa,
Uth jaawo Sakeenah *3

~Tanveer~