Page 1 of 1

Shaam kay bazaaron main adhane

Posted: 06 Mar 2011, 16:35
by abuali
(Shaam kay bazaaron main adhane) x 2
Sunkar yaad aya Akber
Allahu Akber x 4

Yaad Aabidko aati rahi, wo aakhri Akber ki adhaan
Laikin aaj Akber bhi nahi, (ehle haram ke darmiyaan) x 2
(Ummat to deti hai adhaane) x 2 laikin Zainab hai nange sar
Allahu Akber x 4

Ash hadu anlah ki suni sada, Zainab neh yun rokar kaha
Mere Khuda majboor hun main, (phirbhi karu tujko sajda) x 2
(Haath mere gardanpe bandhe hai) x 2 sarpe nahi mere chaadar
Allahu Akber x 4

Haya alal Falah jab suna, rorokar Fizza ne kaha
Jinke garki hain yeh Adhaan, (unka khun Karbal main baha) x 2
(Apni fatah peh jashn manaye) x 2 khune Nabi ke saudagar
Allahu Akber x 4

Rote huwe maasum Sakina, saans bhi leti hai ruk-kar
Sehm ke chup ho jaati hai woh, (shimr ki parti hai jab nazar) x 2
(Mazlooma ko dar lagtahein) x 2, phir na tamache mare shimr
Allahu Akber x 4

Khatm huyi Maghrib ki adhaan, kya main karu ejaaz-e-bayaan
Sunkar takbir-e-Aabidki, (aankhose tha khun rawa) x 2
(Jo salawat ke waaris hain woh) x 2 majme main khaye pathar
Allahu Akber x 4

Re: Shaam kay bazaaron main adhane

Posted: 06 Mar 2011, 16:36
by abuali
Does anyone have an audio of this nawha?