Discuss & Debate | Share | Learn

www.ask.or.tz

Our Partners
Dedicated to the Imams and Ahl-al-bayt (AS), describing their sufferings and hardships. Oh Hussain(AS), my oppressed Imam, may the curse of Allah be on the oppressors.
User avatar
By Tanveer
#11726
(Haae Zaeefa fatema) x2

Rokar pukaari, apne baba se, hasnain ki, zaeefa maa

subbat alayya, masaibun, lau annahaa, subbat alal ayyaami, sirna, layaaliyaa

(Sayyada, Fatema, Tahera, Sayyada) x4

(Ya Sayyada, ya sayyada) x2

(Ay Atharaa baras ki paak, zaeefa bibi) x2 zindagi hai teri masaa'ib ka sahifa bibi
(Ya Sayyada, ya sayyada) x2

Is saari qaaenaat mei, zahra hi aisi maa hai, saaya fighan usi pe, zakhmon ka aasmaan hai, tori gayi hai zulm se, bibi ki pasliyaan, rukhsaar pe tamache ka, bibi pe ek nishaan hai
(Ya Sayyada, ya sayyada) x2

Dunya se jo ye baat hi, kehti chali gayi hai, baba sitam ki mujpe, wo intehaa huwi hai, parhte jo din pe raat sa, tareek hota din, talwaar-e-gham kaleje par, baba mere chali hai
(Ya Sayyada, ya sayyada) x2

Who ghar jahaan pe mout bhi, ijazat talab huwi hai, us dar ko aag aap ki, ummat lagaa rahi hai, mohsin shaheed hogaya, baba sitam huwa, baba tumhaari fatema, chakra ke gir pari hai
(Haye zaeefa fatema) x2

Baad-e-Wisal-e-zahra bhi, gham ka safar raha hai, uski misaal shaam hai, kufa hai karbala hai, zahra ke bete betiyaan, khun mei nahaa gaye, neze pe koi sar koi, sar beridaa huwa hai
(Ya Sayyada, ya sayyada) x2

Ye maa jab apne laal ke, laashe pe aayi thi, aankhon se ashk laab pe, bas yeh duhaai thi, kehti thi mere laal ay, mere tishnalab hussein, tu hi to mujh gharib ki, saari kamaayi thi
(Ya Sayyada, ya sayyada) x2

Is maa ne saath shaam ka, pedal safar kiya hai, zainab ko raahe shaam mei, wo honslaa diya hai, rokar pukaari saath hai, zainab ye teri maa, tu beridaa nahi hai ye, zahra ka sar khula hai
(Ya Sayyada, ya sayyada) x2

Darbaar-e-shaam mei gayi, zainab jo beridaa thi, beti ke saath rote, wohi amma sayyada thi, kehti thi teri aur meri, taqdeer ek hai, tujh par ghamon ki had huwi, mujh par bhi intiha thi
(Haye zaeefa fatema) x4

"Rehan azmi" ye, hasnain ki jo maa hai, maqtal mei karbala ke, karti huwi fughaan hai, bikhre hai baal dard se, chehraa nidhaal hai, gham se zaeef hogayi, aankhon se khun rawaan hai
(Sayyeda fatema tahera sayyeda) x4

https://youtu.be/-3CI0FBr5ss?si=UNYS9HXtS24Gbr-P

Ramadan Daily Duas - # 7

*Dua for Day 7 | Holy Month of Ramadhan* O ALLAH,[…]

Suratul Mulk (The Kingdom)

Short Tafsir on Suratul Mulk (The Kingdom) - Part […]

Ramadan Daily Duas - Day 6

*Dua for Day 6 | Holy Month of Ramadhan* O ALLAH,[…]

Ask4help Counseling Helpline