Discuss & Debate | Share | Learn

www.ask.or.tz

Our Partners
Dedicated to the Imams and Ahl-al-bayt (AS), describing their sufferings and hardships. Oh Hussain(AS), my oppressed Imam, may the curse of Allah be on the oppressors.
User avatar
By Tanveer
#11724
Us waqt jabke zainab darbar me gayi thi, qari namaaziyo(n) se mehfil saji huwi thi,

Zalim ye puchhta tha ghazi tera kaha hai, balo(n) se mu(n) chhupaye zainab ye keh rahi thi,

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

majmaye aam me, bewatan be amaa(n), agaya karvaan
(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

me bhi hu(n) marziya, binte khayrun nisa,
mere lehje me hai, baba teri ada

naam zainab mera, tune jo rakhdiya, day di apni zubaa(n)

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

babajaan me rida mangti rehgayi,
bamo dar saj gaye, jiteji margayi,

halqaye shaam me, nam sunkar mera, margaya naatawa(n)

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai

har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

shaam ashur se, shamo kufa talak,
mene manga nahi hai kharaje fadak,

meri chadar se hai, meri maa ka suku(n), sunle zalim jahaa(n)

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

babajaan ye tera akhri tha bayan,
teri chadar bachayega ghazi jawaa(n),

margaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hai bibiya(n)

(Abbas) x9

ruk na paya mere bawafa ka wo sar,
noke neza se aane laga khaak par,

behn ko darbadar, dekhkar nange sar, seh na paya jawaa(n)

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai

har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

kal thi maa aaj me bhi hu(n) darbar me,
misle zahra khari hu(n) me aghyar me,

us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiya(n)

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

Aysa khutba diya mene darbar me,
Likhraha hai jo "Yawar" tere pyaar me,

Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai sadaye aza(n)

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2

https://youtu.be/-3CI0FBr5ss?si=UNYS9HXtS24Gbr-P

Ramadan Daily Duas - # 7

*Dua for Day 7 | Holy Month of Ramadhan* O ALLAH,[…]

Suratul Mulk (The Kingdom)

Short Tafsir on Suratul Mulk (The Kingdom) - Part […]

Ramadan Daily Duas - Day 6

*Dua for Day 6 | Holy Month of Ramadhan* O ALLAH,[…]

Ask4help Counseling Helpline