Page 1 of 1

Mere Ghazi Kahaan Ho..

Posted: 02 Feb 2008, 22:45
by Zahra..
This is one of my F-A-V-O-U-R-I-T-E nawhas..

Mere Ghazi Kahaan Ho

Teri Jaagir se, Chalpara kaafela… Mere Ghazi kahaan ho (x2)
Ay mere Bawafaa, Hai bahan beridaa… Mere Ghazi kahaan ho

1 ) Tujhko dekhe bina, chayn aata nahi,
Noke nezaa pe sar, tera milta nahi,
Mai ziyarat karu, kistarha ye bataa… Mere Ghazi kahaan ho

2 ) Laaj rakhlo bahan, ki baraadar mere,
Khaake maqtal mere, sar ka parda bane,
Hukm dedo zara, muntazir hai hawaa… Mere Ghazi kahaan ho

3 ) Tere baazu mujhe, raaste me mile,
Maine chaadar samajkar wo sarpar rakhe,
Baazuo se tera, poochti hun pataa… Mere Ghazi kahaan ho

4 ) Dekh kar behn ko, dasht me nange sar,
Kya hayaa aagayi, chup gaye ho kidhar,
Khud chali aaungi, tum bataado zara… Mere Ghazi kahaan ho

5 ) Maine bachpan me lori sunaayi tujhe,
Maine chalna sikhaaya tha bhai tujhe,
Raah par, khaar par, mujhko chalna sikhaa… Mere Ghazi kahaan ho

6 ) Wo teri laadli, wo sakina teri,
Chalte naaqe se jab, khaak par girgayi,
Dekhti rehgayi, wo suwe alqamaa… Mere Ghazi kahaan ho

7 ) Jo bane Murtaza, mai wo ehsaas hoon,
Beridaa bibiyon, ki mai Abbas hoon,
Tum meri aas the, ay mere bawafaa… Mere Ghazi kahaan ho

8 ) Waarise Ambiya, ki mai hamsheer hoon,
Ehle Hayder hoon, Quraan ki tafseer hoon,
Koi yaawar nahi, kisko du mai sadaa… Mere Ghazi kahaan ho

Re: Mere Ghazi Kahaan Ho..

Posted: 03 Feb 2008, 09:51
by Fatimah Zahra Karim
There's a discussion going on about this and other such nauha at http://www.ask.or.tz/viewtopic.php?f=45&t=2188 Check it out