Discuss & Debate | Share | Learn

www.ask.or.tz

Our Partners
Dedicated to the Imams and Ahl-al-bayt (AS), describing their sufferings and hardships. Oh Hussain(AS), my oppressed Imam, may the curse of Allah be on the oppressors.
User avatar
By Zahra..
#6173
Salaam Alaykum,
I donno if any of u guys have heard this nawha.. its in Arabic.. Every line starts with Ya Zainab.. and every other line is "Waawaylaa..x3.. it comes on the Ali Channel.. If anyone has it please share..

And this other one I wanted.. Ay Mere Baba Jaan..Horahi Hai Azaan.. Sar Chupaau kahaan.. Id really appreciate if anyone could post it here.. or even give me the source.. the book or anything..
Thanx alot..
Salaams,
Zahra..
User avatar
By Muhammad
#6176
if u want to hear ee mere baba jaan,horahi hai azzan sar chupau kahan its by shahid biltistani (if i have got the spelling correct...)2006...
n wording i gues u ought to find it at nawhas.com...there r lyrics of all nawhas..
User avatar
By qarrar
#6177
(V)$ wrote: find it at nawhas.com...there r lyrics of all nawhas.
Correct, the site seems to be down at the moment though...
User avatar
By Sayyeda
#6201
Ay mere baba jaan

Us waqt jabke zainab darbar me gayi thi, qari namaaziyo(n) se mehfil saji huwi thi,

Zalim ye puchhta tha ghazi tera kaha hai, balo(n) se mu(n) chhupaye zainab ye keh rahi thi,

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2



1. majmaye aam me, bewatan be amaa(n), agaya karvaan

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2



2. me bhi hu(n) marziya, binte khayrun nisa,
mere lehje me hai, baba teri ada
naam zainab mera, tune jo rakhdiya, day di apni zubaa(n)

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2



3. babajaan me rida mangti rehgayi,
bamo dar saj gaye, jiteji margayi,
halqaye shaam me, nam sunkar mera, margaya naatawa(n)

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2



4. haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai
har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2



5. shaam ashur se, shamo kufa talak,
mene manga nahi hai kharaje fadak,
meri chadar se hai, meri maa ka suku(n), sunle zalim jahaa(n)

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2



6. babajaan ye tera akhri tha bayan,
teri chadar bachayega ghazi jawaa(n),
margaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hai bibiya(n)

(Abbas) x9



7. ruk na paya mere bawafa ka wo sar,
noke neza se aane laga khaak par,
behn ko darbadar, dekhkar nange sar, seh na paya jawaa(n)

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2



8. haath kano pe hai, neel gaalo(n) pe hai,
aur nisha(n) jo sakina ke shaano pe hai
har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2



9. kal thi maa aaj me bhi hu(n) darbar me,
misle zahra khari hu(n) me aghyar me,
us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiya(n)

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2



10. Aysa khutba diya mene darbar me,
Likhraha hai jo "Yawar" tere pyaar me,
Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai sadaye aza(n)

(Ay mere babajaan, horahi hai azaa(n), sar chhupau(n) kaha) x2
User avatar
By Zahra..
#6227
Thnx alot guys.. :)
User avatar
By Tanveer
#8628
Ya zainab-e-kubra

Bismillah-hir-rahmanir-raheem. Innama yureedullahu li yuzhib ankumur rijs ahlalbayti wa yu tahhirakum tatheera

(Allah allah allah) x4

Allahu kabla kullu shai', allahu ba'da kullu shai', allahu kabla kullu shai', allahu ba'da kullu shai'

(Allah allah allah) x2 (Ya zainab-e-kubra) x6

Ay bibi baniye azaa, peghaam karbala tera, jisne suna yahi kaha
(Ya zainab-e-kubra) x4

Tegh khutbo ki barsare darbaar, jaise chalti ho haideri talwaar, kat ke ghirte the zalimo ke jigar, jang-e-khaiber thi ya teri lalkaar
(Ya zainab-e-kubra) x2

Ay bibi baniye azaa, dine rasool bach gaya, quran ki thi ye sadaa
(Ya zainab-e-kubra) x4

Yaad ata hai shaam ka manzar, bibi sarpe tere na thi chadar, har taraf patharo ki baarish thi, teri poshaak thi lahu me tar
(Ya zainab-e-kubra) x2

Ay bibi baniye azaa, sadma tha ye bohot baraa, roya sare shahe hudaa
(Ya zainab-e-kubra) x4

Tune bacho ki di hai qurbani, haye re tera zokh imaani, pyaase bhayi ki yaad me tune, khun bahaya hai ankhe ka paani
(Ya zainab-e-kubra) x2

Ay bibi baniye azaa, ye zabta hosla tera, neze pe ser pukaarta
(Ya zainab-e-kubra) x4

Tere dar par ye istighasa hai, jo bhi farshe aza pe rota hai, us pe saya kare tera ghazi, wo jo mushkil kusha ka beta hai
(Ya zainab-e-kubra) x2

Ay bibi baniye azaa, hum momino ki ye dua, ashke azaa ka waastaa
(Ya zainab-e-kubra) x4

Kitne makrooz matami hai tere, karza tu ghaib se adaa karde, bibi tu to sakhi ki beti hai, tu to muflis ko baadshaah kar de
(Ya zainab-e-kubra) x2

Ay bibi baniye azaa, tu innama tu hal ataa, kehta hai sar jukaa huwa
(Ya zainab-e-kubra) x4

Qaid be jurma jo hai matamdaar, misle mazloom aabide bimaar, unko azaadiyo ko tohfa de, aaj tu misle haidare karrar
(Ya zainab-e-kubra) x2

Ay bibi baniye azaa, hum ko hai tera aasraa, ghairo se mangna hai kya
(Ya zainab-e-kubra) x4

Tere bhayi ne jaise rahib ko, saat bete ataa kiye phirto, tu bhi hamsheer us sakhi ki hai, dede awlaad chahiye jisko
(Ya zainab-e-kubra) x2

Ay bibi baniye azaa, awlaad aisi kar ataa, ho wo bhi matami tera
(Ya zainab-e-kubra) x4

Waasta us aseer bachi ka, rassiyo me bandha tha jiska gala, wo jo pyaasi thi mar gayi pyasi, koyi bacha na ab rahe pyaasa
(Ya zainab-e-kubra) x2

Ay bibi baniye azaa, har sabeel par likha, kehta hai khun bhayi ka
(Ya zainab-e-kubra) x4

Ay bibi baniye azaa, humse na haq adaa huwa, karde muafye khata
(Allah allah allah) x8

https://youtu.be/-3CI0FBr5ss?si=UNYS9HXtS24Gbr-P

Ramadan Daily Duas - # 7

*Dua for Day 7 | Holy Month of Ramadhan* O ALLAH,[…]

Suratul Mulk (The Kingdom)

Short Tafsir on Suratul Mulk (The Kingdom) - Part […]

Ramadan Daily Duas - Day 6

*Dua for Day 6 | Holy Month of Ramadhan* O ALLAH,[…]

Ask4help Counseling Helpline