Discuss & Debate | Share | Learn

www.ask.or.tz

Our Partners
Dedicated to the Imams and Ahl-al-bayt (AS), describing their sufferings and hardships. Oh Hussain(AS), my oppressed Imam, may the curse of Allah be on the oppressors.
User avatar
By Babydoll
#5752
Hay bazaare sham ja kar Zainab ko ghazi yaad aaya x 3

aankho se khun jari , sar pe rida nahi thi
zakhmi haram ke dil the , koi dawa nahi thi
( jab durre lage badan par x 2 )
zainab ko ghazi yaad aaya


Sadat paba rehna , kanto bhare the raste
rote the jab ye qaidi , be dard log haste
( jab dekhi sina pe chadar x 2)
zaianb ko ghazi yaad aaya


Hamsheer royi us par , takdeer royi us par
bimar jab bhi roya, zanjeer royi us par
( hay galiyo mein barse pathar x 2 )
zainab ko ghazi yaad aaya


jo malkaye haya thi , bago main be rida thi
ye soch kar hi zainab, bas mehwe marsiya thi
( hay shiri ke ghar mein ja kar x 2 )
zainab ko ghazi yaad aaya


es se badi qayamat , kya aur hogi logo
abid ne apne sar ko, kyu na uthaya socho
( wo kehta tha bas ye ro kar x 2 )
zainab ko ghazi yaad aaya


abbas ki bahen par , ek aisa waqt aaya
darbar mein sitam ke, shimre layi pukara
( hai kaun sheh ki khwahar x 2 )
zainab ko ghazi yaad aaya


Nikli thi jab wo ghar se , manzar wo yaad aaya
nazre jukao logo , abbas ne kaha tha
(ab sham mein khule sar x 2 )
zainab ko ghazi yaad aaya


Athara bhaiyo ki hamsheer, aur khule sar
aey logo taras khao , zainab ko dedo chadar
( fizza jo boli ro kar x 2 )
zainab ko ghazi yaad aaya


darbar mein gayi thi, ek roz fatema bhi
lekin rida thi sar par , beto se thi tasalli
( yaad aaya use ye manzar x 2 )
zainab ko ghazi yaad aaya


guzri jo bibiyo pe, kya "shadman" sunaye
mazhar mera kaleja , sadmo se phat na jaye
( roko kalam ye keh kar x 2 )
zainab ko ghazi yaad aaya

https://youtu.be/-3CI0FBr5ss?si=UNYS9HXtS24Gbr-P

Ramadan Daily Duas - # 7

*Dua for Day 7 | Holy Month of Ramadhan* O ALLAH,[…]

Suratul Mulk (The Kingdom)

Short Tafsir on Suratul Mulk (The Kingdom) - Part […]

Ramadan Daily Duas - Day 6

*Dua for Day 6 | Holy Month of Ramadhan* O ALLAH,[…]

Ask4help Counseling Helpline