Discuss & Debate | Share | Learn

www.ask.or.tz

Our Partners
Imagination is what inspires creativity. How far can you go? From poetry - for there is a poet in all of us - to literature and action thrillers. This is the place to let him loose. Please only post your ORIGINAL POETRY AND FICTION.
User avatar
By Babydoll
#5620
Salam aliakum

ths r my few poems n nawhas on ahlul bait ( a.s ) which i hv writtn in past few days.

Ali ki Shaan mein jo bhi likhu wo kam hi hai
Wo sher khuda ka shujaat ka Wali hai

Ghadeer main yah elaan kiya tha rasul ne
ke jis jis ka main maula hu uska maula ali hai

Abu talib ka laal hai wo fatema ka jigar
Haa wahi to wasi aur damaade nabi hai

koi mimbar se ye kehta hai to koi chup kar kar
hamare wazifa to faqad naade ali hai

yahi likha hai ahr ek jaa ba jaa madine main
nabi hai ilm ka shaher to darwaza ali hai

hai maana nuseriyo ne jise khuda apna
ha wo haidar e qarrar hai wo maula ali hai

Fateh kiya tha jis ne badro hunanin o khandak
jisne khaibar ko ungliyo pe uthaya wo ali hai

Ali ke lehje main allah bhi qalaam kare
zara socho aey momeeno kya martaba e ali hai

Dhalte suraj ko ishaare se ubhara usne
ambiya ne bhi hai jisko pukara wo ali hai
User avatar
By Babydoll
#5621
wafa ka naam amar hua hai abbas se,
thi dharas zainab o sakina ko bhi abbas se,
shaire khuda lal hai wo lashkar ka alamdar,
aao logo aaj jo Dil chahe maanglo abbas se
User avatar
By Babydoll
#5622
kehne ko to baazu nahi hai lekin,
sakhawato ka samundar hai ye kamre bani hashim,
babul hawaej ka lakab paya hai mabud se,
har hajat ko rawa karta hai ye kamre bani hashim
User avatar
By Babydoll
#5623
aagaz hussein ne kiya toh anjaam diya hai zainab ne ,
baade alamdar alam ghazi ka utha ya hai zainab ne,

shabbir ke baad islam ki pehchan tab huwi logo ko,
jab darbare yazidi mein khutba sunaya zainab ne,

daasta e karbobala se waqif na huwe hote log,
agar safar qufa aur sham ka na tai kiya hota zainab ne
User avatar
By Babydoll
#5624
Chauda so sadiya ho gayi hai ab bhi kaidi hai sakina
Shaam ke zindaan mein

Jis ne khaye the shimr ke tamache,
tha kiya jis ne safar unto pe roke
Thak ke wo so gayi
shaam ke zindaan mein

Sehmi si rehti thi baba ko bulati ,
kar ke rukh nehr ka ammu ko sadi di
royi tadpi hai bohot
shaam ke zindaan mein

Naahi soti thi na hoti thi mukhatib ,
darr ke diwar se rehti thi wo lipti
Ek masum jaan thi
shaam ke zindaan mein

Dard e dil apna kisiko na bataya ,
zalimo ne rone pe use aur sataya
khamosh kaise ho gayi
shaam ke zindaan mein

Aisi bachi pe bhi rehm na khaya ,
pani ki talab ki to khu uska bahaya
qaid phir kar di gayi
shaam ke zindaan mein

le kar sar baap ka godi main sulaya ,
muh muh rakh ke dukh apna bataya
maut bhi ro padi
shaam ke zindaan mein

kurta es haal tha khun main paitar,
dekh ke roo padi sayyeda ye manzar
Qabr jab uski bani
shaam ke zindaan mein
User avatar
By Babydoll
#5625
Kis shaan se ran mein jata hai shabi ye payambar,
hai laadla zainab ka naam hai ali akber

JIs waqt chidha barchi se akber ka sina ,
khaime ke dar pe tadpi thi zainab o sakina,
aur kaise likhu haal kya tha kahime ke andar

Khayi jab chandsi chati pe sina akber ne
di sada baap ko hum shakle paygamber na
dono hatho se jigar tham khade ho gaye sarwar

Thokare khake gire padte the bahale tabah
kabhi kehte the kaha hai wo mera gairate mah
awaaz zara do kaha ho ali akber

kabhi ghabra ke idhar aur udhar jate the
dhundte the par akbar ko nahi paa te the
kaha abbas utho kyu soye ho dariya par

Khu bhari aankho ko ek baar to kholo bete
dam nikalta hai mera muh se to bolo beta
khakh pe baith ke farzand se lipte sarwar

Dekha jo barchi ka phal sine ke andar
rukh karke madine ka ye kehne lage sarwar
baba aasaa tha uthana daare khaibar

Aur phir llash liye khaime ke dar per aaye
gul pada ahle haram mein ke ali abker aaye
kaha banu ne laut aaya mera dilbar

Sunti hu barchi kaleje pe kisi ne maari
muh se muh bete ka malne lagi wo dukh yari
sadke maa haye mere gesu o wale akber

Shor o girya tha har ek jaa banu ka
aey meri jaan andhera hua ghar banu ka
tum huwe qatl mujhe maut n aayi kyu kar

Huwi rikkat hai sayyeda kar ab khatm kalam
naam akber ka leke jo chillate hai ye log tamam
tukde hota hai jigar phatta hai kaleja andar
User avatar
By Babydoll
#5626
Nahi karti ibadat teri jannat ki chah mein,
naa hi khaufe jahannam hai na talab gare zindagi,
jukati hu apni peshani tera aaghe es waste aey rab ,
ke sirf tu aur tu hi hai layak e bandagi
User avatar
By Babydoll
#5627
Baage fadk ko chin liya gaya batul se,
jis ko apni maa keh ke bulaya rasul ne,
gyara imam ki maa aur khatun e jahannat,
aaj aayi hai apna haq lene maidaan mein
User avatar
By Babydoll
#5634
hasin wrote:Mashallah

These are very well written in honour of the best of people.

Jazakallah. Keep writing and sharing.

Inshallah if we get enough (including from other members), we can publish a book at a later stage or an online version.
Thank u very much

i hope the other members ll like it too
User avatar
By Sayyeda
#5649
Babydoll wrote:Nahi karti ibadat teri jannat ki chah mein,
naa hi khaufe jahannam hai na talab gare zindagi,
jukati hu apni peshani tera aaghe es waste aey rab ,
ke sirf tu aur tu hi hai layak e bandagi
Beshak! :)

Beautifully written... May Allah (s.w.t) give you the tawfik to continue writing such beautiful poems! Ameen.
User avatar
By Babydoll
#5652
Thank u very much sayyeda
User avatar
By Babydoll
#5653
Lo safar hota hai shuru aaj se Zainab ka
Ab shabbir ka paigham logo tak pohchana kaam hai zaianab ka
Takhte yazidi hila degi lehja e ali main apne khutbe se
Ab to intezar hai darbare shaam ko bhi Zaianb ka
User avatar
By Babydoll
#5737
Aaaye jab kasim e naushad maktal main
kehne lage wo aashikya kya nikla hai chand gagan main
sikhi hai jinse shujaat abbas e ali se
dekho wo ab kya shajar dikh lata hai run mein

Amaal Eve 17th - (night preceeding day 17th) A ver[…]

Ramadhan Daily Duas- # 17

Dua for Day 17 | Holy Month of Ramadhan O Allah, […]

https://youtu.be/hk2bRbbavCY?si=6Y53rBBj5rHfPNmw

Ramadan Daily Duas - # 16

*Dua for Day 16 | Holy Month of Ramadhan* O Allah[…]

Ask4help Counseling Helpline